ras aai na mujhe anjuman-arai bhi aafat-e-jaan bani hae shanasai bhi dushmanon ki mere auqat kahan thi itni sazish-e-qatl mein shamil tha mera bhai bhi aankh andhi thi zamane se yahan logon ki mar gai zer-e-dahan quwwat-e-goyai bhi tujh se nisbat ho koi sang-e-malamat ki agar mujh ko pyari hai tere shahr mein ruswai bhi kashti-e-zist jahan dub rahi thi meri mere apne the wahan log tamashai bhi kar diya mujh ko masail ne abhi se budha waqt ne rukh se mere chhin li ranai bhi muflisi jin ke muqaddar mein likhi hai 'shamsi' un ke ghar bajti nahin hai kabhi shahnai bhi