raste mein sham ho gai qissa tamam ho chuka jo kuchh bhi tha ai zindagi wo tere nam ho chuka kab ki guzar gai wo shab jis mein kisi ka nur tha kab ki gali mein dhup hai jina haram ho chuka phirte rahen nagar nagar kucha-ba-kucha dar-ba-dar apne khiyam jal chuke apna salam ho chuka raat mein baqi kuchh nahin nind mein baqi kuchh nahin apna har ek khwab to nazr-e-awam ho chuka us ke labon ki guftugu karte rahe subu subu yani sukhan hue tamam yani kalam ho chuka ishq gar aisa ishq hai aaankhon se bahne do lahu zist gar aisi zist hai apna to kaam ho chuka raste tamam ho gae us ki gali ke aas-pas yani khiram ho chuka yani qayam ho chuka