raushni jab mangte hain ye diye ki lau se puchh

raushni jab mangte hain ye diye ki lau se puchh
kyon andhere kanpte hain ye diye ki lau se puchh

ishq karna hai to pahle ishq ke aadab sikh
raat kaise katte hain ye diye ki lau se puchh

kaun sa gham hai ki yunhi chand tare mere sath
raat kaise jagte hain ye diye ki lau se puchh

hum shab-e-tanhai mein karte hain apna hi tawaf
sae kaise bhagte hain ye diye ki lau se puchh

ek ek lamha jala kar khud ko tere hijr mein
waqt kaise mapte hain ye diye ki lau se puchh

dusron ke waste jite hain kaise 'sadiya'
khud ko kaise marte hain ye diye ki lau se puchh


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close