raushni le ke kahin chand kahin taron se

raushni le ke kahin chand kahin taron se
hum bhi guzre the kabhi waqt ke bazaron se

zindagi tujh se tere gham se to inkar nahin
han magar lazzat-e-gham chhin gai gham-khwaron se

azmat-e-rafta ki mitti hui taswir hain hum
hum ko latkaiyee girti hui diwaron se

is se pahle ki chhide zikr-e-wafa pyar ki baat
mashwara kar lo zara waqt ki sarkaron se

chand jis waqt utar aata hai paimanon mein
mai-kade baat kiya karte hain mai-khwaron se

hum ko be-dam bhi bik jaane ka fan aata hai
baat kahne ki nahin hai ye kharidaron se

wahi tanhai ki baaten hain wahi zat ke gham
mujh ko shikwa hai mere dur ke fankaron se

abr-e-rahmat ko liye apni nazar mein 'khusraw'
hum bhi to dasht se guzre kabhi kohsaron se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close