raushni phaili to sab ka rang kala ho gaya kuchh diye aise jale har-su andhera ho gaya jis ne mera sath chhoda aur kisi ka ho gaya sach to ye hai mujh se bhi badh kar wo tanha ho gaya waqt ka ye mod kaisa hai ki tujh se mil ke bhi tujh ko kho dene ka gham kuchh aur gahra ho gaya hum ne tanhai ki chadar tan li aur so gae log jab kahne lage uttho sawera ho gaya dubta suraj hun main wo mera saya dekh kar sochta ye hai qad us ka mujh se lamba ho gaya chand lamhe the jo barson baad tak bite nahin kuchh baras wo bhi the jin ka ek lamha ho gaya jab zaban kholi to sab ko nind si aane lagi chup hue to yun laga har shakhs bahra ho gaya sath us ka chhod kar aae to ye aalam raha hum ne jis chehre ko dekha us ka chehra ho gaya is talluq ko bhala 'azad' main kya nam dun wo kisi ka ho ke bhi kuchh aur mera ho gaya