raushni se haar kar tirgi se pyar kar hath hathon se mila pith pichhe war kar ziddi bachcha so gaya apni khwahish mar kar soch ka chashma laga der tak didar kar kis ne bola dard le kis ne bola pyar kar zahr pi aur ho amar dub ja aur par kar ishq ki bazi laga jit ja sab haar kar khamushi ka qufl tod lab hila izhaar kar jurm-e-ulfat man le muskura iqrar kar shairi ka shauq hai shairon se pyar kar