rawish rawish pe hain nikhat-fashan gulab ke phul hasin gulab ke phul arghawan gulab ke phul jahan-e-girya-e-shabnam se kis ghurur ke sath guzar rahe hain tabassum-kunan gulab ke phul ye mera daman-e-sad-chaak ye rida-e-bahaar yahan sharab ke chhinte wahan gulab ke phul khayal-e-yar tere silsile nashon ki ruten jamal-e-yar teri jhalkiyan gulab ke phul meri nigah mein daur-e-zaman ki har karwat lahu ki lahr dilon ka dhuan gulab ke phul sulagte jate hain chup-chap hanste jate hain misal-e-chehra-e-paighambaran gulab ke phul ye kya tilism hai ye kis ki yasmin banhen chhidak gai hain jahan-dar-jahan gulab ke phul kati hai umr bahaaron ke sog mein 'amjad' meri lahad pe khilen jawedan gulab ke phul