rawish-rawish se numudar ho gai koi yaad ki gahe gham gahe gham-khwar ho gai koi yaad kahin se mere khilaf uth gaya koi manzar kahin se teri taraf-dar ho gai koi yaad udhar to kaghazi phulon ko pani deta raha idhar gulab se talwar ho gai koi yaad ajab mazaq hai yani mere pe sau durre gira main thak ke to hushiyar ho gai koi yaad main dhundhta tha to poshida ho gai koi shakl main so raha tha to bedar ho gai koi yaad magar hayat ka malba uthana padta hai so chaarasaz-e-gham-e-yar ho gai koi yaad