riwayaton ka bahut ehtiram karte hain ki hum buzurgon ko jhuk kar salam karte hain har ek shakhs ye kahta hai aur kuchh kahiye hum apni baat ka jab ikhtitam karte hain kabhi jalate nahin hum to barhami ka charagh wo dushmani ki rawish roz aam karte hain harif apna agar sar jhuka ke milta hai to hum bhi tegh ko zeb-e-niyam karte hain mujhe khabar bhi nahin hai ki ek muddat se wo mere khana-e-dil mein qayam karte hain haqiqaton ko jinhen sun ke wajd aa jate kuchh aise kaam bhi un ke ghulam karte hain sharab kam ho to 'nuri' ba-nam-e-tishna bhi lahu nichod ke labrez jam karte hain