rone mein abr-e-tar ki tarah chashm ko mere josh hai nala mein aah rad sa shor hai aur kharosh hai rad ne shor se pukar maston ko ye nawed di tum ho kidhar ai mai-kasho mausam nae-o-nosh hai chaak karun hun jeb-e-sabr tale-e-andalib dekh sunne ko us ka dard-e-dil gul hi ba-shakl-e-gosh hai kin ne chaman mein mai-kashi ki hai saba tu sach kaho jam hai gul ke hath mein ghuncha subu ba-dosh hai kaun diwana mar gaya us ke aza mein ab talak us ke libas sar-ba-sar chashm siyah-posh hai nala hai khana-zad-e-ishq lek kahan sar-o-dimagh apne to qafile ke bich jo hai jaras khamosh hai