roz-e-wahshat hai mere shahr mein virani ki ab koi baat nahin baat pareshani ki mere dariya kabhi dariya bhi hua karte the ab bhi aawaz si aati hai mujhe pani ki aaina-khane ke bahar wo mujhe puchhte hain aaina-khane mein kya baat thi hairani ki ab ghazalan se kaho chhup ke kahin baith rahen aamad aamad hai kisi ghul-e-bayabani ki hum khule ghar ke makinon ki yahi aadat hai hum na darban hue aur na darbani ki yaad kar lena bahattar ki kahani 'baqi' jang chhid jae kisi waqt agar pani ki