rut badalti hai badalta nahin manzar sain ab kahan jae bata tera qalandar sain ek mere nam nahin teri sakhawat warna jagmagata hai karishma tera dar dar sain shahr ka shahr hua jata hai kaise sairab kaun aaya hai yahan le ke samundar sain ab to mahsus ye hota hai ki manzil hai qarib rasta aisa nahin hota munawwar sain koi kuchh bhi na kahe shahar-e-adawat hi sahi hum to aabaad hue hain yahan lut kar sain shairi jis ke liye ki wo sira hai to hai baat lakh duniya mujhe kahti hai sukhnawar sain phir kisi roz tamanna ke qadam chumunga aaj to jaane diya jae mujhe ghar sain karbala hai to yahan sar ki bhi qimat hogi kuchh to inam rahega mere sar par sain