rutba kuchh aashiqi mein na kam hai faqir ka hain jis ke sab sanam wo sanam hai faqir ka takiya ise na bhul ke kahna kabhi miyan takiya nahin ye bagh-e-iram hai faqir ka rahta hai phir wo phulta misl-e-sada suhag jis gul-badan pe lutf-o-karam hai faqir ka ghat jaen jis ko dekh ke lakhon teri ghata ai abr-e-tar wo dida-e-nam hai faqir ka likhta hai bin tarashe hi harfon ke jod-tod ai khush-nawis ye wo qalam hai faqir ka zill-e-huma bhi wan se saadat kare husul jis sar-zamin pe naqsh-e-qadam hai faqir ka hain zer-e-saya us ke hazaron gada-o-shah bairaq ise na keh ye alam hai faqir ka kyunkar likhe na faqr ke shan-o-shikoh ko yaro 'nazir' par bhi karam hai faqir ka