sab dekhne wale unhen ghash khae hue hain is par bhi tajjub hai wo sharmae hue hain ai jaan-e-jahan hum ko zamane se gharaz kya jab kho ke zamane ko tujhe pae hue hain hairan hun kyun mujh ko dikhai nahin dete sunta hun meri bazm mein wo aae hue hain nisbat ki ye nisbat hai sharaf ka ye sharaf hai tere hain agar hum tere thukrae hue hain hai dekhne walon ko sambhalne ka ishaara thodi si naqab aaj wo sarkae hue hain