sab ki bigdi ko banane nikle yar hum tum bhi diwane nikle dhul hai ret hai sahra hai yahan hum kahan pyas bujhane nikle itni raunaq hai ki ji dubta hai shahr mein khak udane nikle in andheron mein kiran jab dhundi sab ke hansne ke bahane nikle koi to chiz nai mil jati dard bhi sadiyon purane nikle chand ko raat mein maut aai thi lash hum din ko uthane nikle umr barbaad yunhi kar di 'hasan' khwab bhi kitne suhane nikle