sab ko hi us dar par tala dikhta tha mujh ko koi daud ke aata dikhta tha karte the wo duaen andhe hone ki pyason ko zindan se dariya dikhta tha wo tha ek kaniz ke kamre ka darpan us mein dekhne wala rota dikhta tha main ne un aankhon mein duniya dekhi thi aur duniya ko jaane kya kya dikhta tha udta tha ji bhar ke sawera hote hi ek panchhi ko khwab mein pinjra dikhta tha lauti thi wo ek wadere ke ghar se us ko har jhule mein phanda dikhta tha kuchh ko dariya bund ke jaisa tha 'yasir' kuchh ko bas ek bund mein dariya dikhta tha