sabab to kuchh bhi nahin aur udas rahta hai

sabab to kuchh bhi nahin aur udas rahta hai
ye kaisa dard hai jo dil ke pas rahta hai

mujhe pata nahin us ka magar ye sunta hun
wo in dinon mere ghar ke hi pas rahta hai

meri kitab ke auraq sab tumhaare hain
jahan se dekho tera iqtibas rahta hai

main katta hun har ek lamha karbala ki tarah
labon pe pyas to dil mein hiras rahta hai

main kal talak jise ek aankh bhi ye bhata tha
usi ke dil mein mera ab niwas rahta hai

'nasim' nam ke us aadmi se milna tum
na jaane har ghadi kyun bad-hawas rahta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close