sabaq aisa paDha diya tu ne

sabaq aisa padha diya tu ne
dil se sab kuchh bhala diya tu ne

hum nikamme hue zamane ke
kaam aisa sikha diya tu ne

kuchh talluq raha na duniya se
shaghl aisa bata diya tu ne

kis khushi ki khabar suna ke mujhe
gham ka putla bana diya tu ne

kya bataun ki kya liya main ne
kya kahun main ki kya diya tu ne

be-talab jo mila mila mujh ko
be-gharaz jo diya diya tu ne

umr-e-jawed khizr ko bakhshi
aab-e-haiwan pila diya tu ne

nar-e-namrud ko kiya gulzar
dost ko yun bacha diya tu ne

dast-e-musa mein faiz bakhshish hai
nur-o-lauh-o-asa diya tu ne

subh mauj nasim gulshan ko
nafas-e-jaan-faza diya tu ne

shab-e-tira mein shama raushan ko
nur khurshid ka diya tu ne

naghma bulbul ko rang-o-bu gul ko
dil-kash-o-khushnuma diya tu ne

kahin mushtaq se hijab hua
kahin parda utha diya tu ne

tha mera munh na qabil-e-labbaik
kaba mujh ko dikha diya tu ne

jis qadar main ne tujh se khwahish ki
is se mujh ko siwa diya tu ne

rahbar-e-khizr-o-hadi-e-ilyas
mujh ko wo rahnuma diya tu ne

mit gae dil se naqsh-e-baatil sab
naqsha apna jama diya tu ne

hai yahi rah manzil-e-maqsud
khub raste laga diya tu ne

mujh gunahgar ko jo bakhsh diya
to jahannum ko kya diya tu ne

'dagh' ko kaun dene wala tha
jo diya ai khuda diya tu ne


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close