sabz mausam ki rifaqat us ka karobar hai ped kab sukhe hue patton ka hisse-dar hai phir mahajan bant lenge apni sari khetiyan qarz ki faslon pe jina kis qadar dushwar hai ehtiyat-o-khauf wale dubte hain beshtar jin ko hai khud par bharosa wo nadi ke par hai mutmain baithe ho tum ne ye bhi socha hai kabhi jis ka saya sar pe hai wo ret ki diwar hai aag ka lashkar hai saf bandhe hamare samne kya karen hum hath mein to mom ki talwar hai pattharon ko shahar ke rahti hai mauqa ki talash kanch ke paikar mein rahna kis qadar dushwar hai