sach hai hoga duniya mein koi hum sa kam tanha ham-nafas nafas tanha ham-qadam qadam tanha dahr aaina-khana aur us mein hum tanha dekhiye to ek mahfil waise ek-dam tanha aarzu rifaqat ki aadmi ki fitrat hai zindagi nahin katti aap hon ki hum tanha zindagi ki rahon mein sath chhodne walo kash dekh lete tum chal ke do-qadam tanha sirf ye batana hai shewa-e-wafa kya hai warna kaun sahta hai itne ranj-o-gham tanha