sadiyon se insan ye sunta aaya hai dukh ki dhup ke aage sukh ka saya hai hum ko in sasti khushiyon ka lobh na do hum ne soch samajh kar gham apnaya hai jhut to qatil thahra is ka kya rona sach ne bhi insan ka khun bahaya hai paidaish ke din se maut ki zad mein hain is maqtal mein kaun hamein le aaya hai awwal awwal jis dil ne barbaad kiya aakhir aakhir wo dil hi kaam aaya hai itne din ehsan kiya diwanon par jitne din logon ne sath nibhaya hai