sadma to hai mujhe bhi ki tujh se juda hun main lekin ye sochta hun ki ab tera kya hun main bikhra pada hai tere hi ghar mein tera wajud bekar mahfilon mein tujhe dhundta hun main main khud-kushi ke jurm ka karta hun e'tiraf apne badan ki qabr mein kab se gada hun main kis kis ka nam laun zaban par ki tere sath har roz ek shakhs naya dekhta hun main kya jaane kis ada se liya tu ne mera nam duniya samajh rahi hai ki sach-much tera hun main pahuncha jo tere dar pe to mahsus ye hua lambi si ek qatar mein jaise khada hun main le mere tajrabon se sabaq ai mere raqib do-chaar sal umr mein tujh se bada hun main jaga hua zamir wo aaina hai 'qatil' sone se pahle roz jise dekhta hun main
This is a great bekar ki shayari. Please share if you liked this!!!