sadme jhelun jaan pe khelun us se mujhe inkar nahin hai

sadme jhelun jaan pe khelun us se mujhe inkar nahin hai
lekin tere pas wafa ka koi bhi mear nahin hai

ye bhi koi baat hai aakhir dur hi dur rahen matwale
harjai hai chand ka joban ya panchhi ko pyar nahin hai

ek zara sa dil hai jis ko tod ke bhi tum ja sakte ho
ye sone ka tauq nahin ye chandi ki diwar nahin hai

mallahon ne sahil sahil maujon ki tauhin to kar di
lekin phir bhi koi bhanwar tak jaane ko tayyar nahin hai

phir bhi wahi sailab-e-hawadis jaane do ai sahil walo
ya is bar safina duba ya us ke manjdhaar nahin hai

qaid-e-qafas ke baad karega qaid-e-gulistan kaun gawara
ab bhi wahi zanjiren hain go pahli si jhankar nahin hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close