safar hi shart-e-safar hai to khatm kya hoga tumhaare ghar se udhar bhi ye rasta hoga zamana sakht giran khwab hai magar ai dil pukar to sahi koi to jagta hoga ye be-sabab nahin aae hain aankh mein aansu khushi ka lamha koi yaad aa gaya hoga mera fasana har ek dil ka majra to na tha suna bhi hoga kisi ne to kya suna hoga phir aaj sham se paikar jaan o tan mein hai phir aaj dil ne kisi ko bhula diya hoga wida kar mujhe ai zindagi gale mil ke phir aisa dost na tujh se kabhi juda hoga main khud se dur hua ja raha hun phir 'akhtar' wo phir qarib se ho kar guzar gaya hoga