safar ka khwab tha aab-e-rawan pe rakkha tha koi sitara khule baadban pe rakkha tha bhula gaya hai mujhe guftugu ke sare maze bas ek lafz tha pal bhar zaban pe rakkha tha wo ek khak sa manzar bas ab bahut hai mujhe utha ke jo kabhi qirtas-e-jaan pe rakkha tha main kya gaya ki hua khushk chashma-e-mahtab abhi to pahla qadam aasman pe rakkha tha usi ko 'shahin' muqarrar kiya hai ja-e-visal kanara-e-shab-e-hijran jahan pe rakkha tha