safar khud-raftagi ka bhi ajab andaz tha kahin par rah bhule the na ruk kar dam liya tha zamin par gir rahe the chand tare jaldi jaldi andhera ghar ki diwaron se uncha ho raha tha chale chalte the rah-raw ek aawaz-e-akhi par junun tha ya fusun tha kuchh to tha jo ho raha tha main us din teri aamad ka nazara sochti thi wo din jab tere jaane ke liye rukna pada tha isi husn-e-talluq par waraq likhte gae lakh kiran se ru-e-gul tak ek pal ka rabta tha bahut din baad 'zehra' tu ne kuchh ghazlen to likkhin na likhne ka kisi se kya koi wada kiya tha