safar tawil sahi hasil-e-safar kya tha hamare pas ba-juz daulat-e-nazar kya tha labon se yun to baraste the pyar ke naghme magar nigahon mein yaron ke neshtar kya tha ye zulmaton ke parastar kya khabar hote meri nawa mein ba-juz muzhda-e-sahar kya tha har ek abr mein hai ek lakir chandi ki wagarna apni duaon mein bhi asar kya tha hazar khwab lute khwab dekhna na gaya yahi tha apna muqaddar to phir mafar kya tha ghurur andhere ka toda usi se haar gaya numud ek sharar ki thi ya bashar kya tha koi khalish jo muqaddar thi umr bhar na gai ilaj aise marizon ka chaara-gar kya tha