sahil pe lai aur safine dubo diye yun zindagi ne hum ko hansaya ki ro diye ahl-e-chaman ne jashn-e-bahaaran ke nam se wo dastan sunai ki daman bhigo diye zabt-e-gham-e-firaq ki majburiyan na puchh dil mein kisi ka nam liya aur ro diye fariyaad ki hai baat magar ab sunega kaun ek nakhuda ne kitne safine dubo diye ai wae-sai-e-zabt ki aksar tere huzur hansne ka ehtimam kiya aur ro diye un aansuon ka dekhne wala koi na tha jin aansuon mein hum ne tabassum samo diye rah-e-junun mein kaam khirad se liya hi tha zoaf-e-talab ne panw mein kante chubho diye tajdid-e-ahd-e-ishq hui aaj yun 'shamim' nazren milin salam kiya aur ro diye