sahra mein ghaTa ka muntazir hun

sahra mein ghata ka muntazir hun
phir us ki wafa ka muntazir hun

ek bar na jis ne mud ke dekha
us jaan-e-saba ka muntazir hun

baitha hun durun-e-khana-e-gham
sailab-e-bala ka muntazir hun

jaan-e-ab-e-baqa khoj mein hai
main mauj-e-fana ka muntazir hun

khil jaunga apne aap se main
tahsin-e-saba ka muntazir hun

is daur mein khwahish-e-tarab hai
madfan mein hawa ka muntazir hun

mazi ki saza bhugat raha hun
farda ki saza ka muntazir hun

shayad ki wahan mafar ho gham se
taskhir-e-khala ka muntazir hun

hathon mein hai mere daman-e-shab
suraj ki sada ka muntazir hun

barson se khada hun hath uthae
tasir-e-dua ka muntazir hun

mera to khuda kabhi nahin tha
main kis ke khuda ka muntazir hun

kahte hain jise 'nazar' musafir
us aabla-pa ka muntazir hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close