samajh ghar yar ka main shah-nashin-e-dil ko dhota hun kahen hain log diwane ki diwana hun rota hun bujhae ashk ye khun ke jo fawware uchhalte hain mizha se yar ke le nashtar aankhon mein chubhota hun madad ai khizr-e-girya gharq kariyo naw-e-dil aaj hi ye hai dubwane wala main ise pahle dubota hun but-e-sangin dil ki dekh taswir aankhen pathrain thithuk hun naqsh-e-qalin sa na rota hun na sota hun main ku-e-maikashan-o-mahwashan ke muttasil pahuncha khabar-dar ai harifo ab hawas-o-hosh khota hun mabaada mere gul-ru ka gul-e-rukhsar murjhawe phuwar ai 'azfari' de aansuon ki main bhigota hun