samjhen jo mere gham ko wo apne nahin rahe

samjhen jo mere gham ko wo apne nahin rahe
jhute bahut hain shahr mein sachche nahin rahe

tu ne to apni zist bhi kar li basar magar
tujh se bichhad ke hum to kahin ke nahin rahe

hum khush hue sabhi ki taraqqi ko dekh kar
lekin tumhaari tarah sulagte nahin rahe

kal to kisi bhi rah mein khauf-o-khatar na tha
mahfuz aaj shahr ke raste nahin rahe

rah-e-wafa mein mushkilen aai to thin bahut
lekin hum apni rah badalte nahin rahe

jab se hayat ashk-e-nadamat se dhoi hai
aaina-e-hayat pe dhabbe nahin rahe

jo hukm-e-waldain ki tamil kar saken
is daur mein 'hilal' wo bachcha nahin rahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close