samne aankhon ke raqsan tha tamasha dusra

samne aankhon ke raqsan tha tamasha dusra
aur manzar main ne duniya ko dikhaya dusra

lamha-e-fursat mile to ghaur karna chahiye
baam-o-dar kis ke chaman mein kaun aaya dusra

raqs-e-aseb-e-fana jari yahan jab se hua
dhundhti hain ab hawaen bhi thikana dusra

khud shanasi ke marahil tai na ho pae agar
main bhi ho jaunga shayad rafta rafta dusra

ab khushi se hum chalen is par ki jabri taur par
samne apne raha kab koi rasta dusra

ek piyale mein tha amrit dusre mein zahr tha
soch kar main ne uthaya hai piyala dusra

main ki phulon ki zaban mein baat karta tha 'nasim'
shahr ke haalat ne bakhsha hai lahja dusra


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close