sanbhal sanbhal ke chaloge to faeda hoga badon ki baat sunoge to faeda hoga ye pal parinde nahin hain ki laut aaenge samay ki qadr karoge to faeda hoga hawa ka hath tumhein rasta dikhaega hawa ke sang chaloge to faeda hoga nazar phir aaengi tum ko kai chhupi chizen charagh ban ke jaloge to faeda hoga nae khayal mein dhadkan samo ke laya hun mera jo sher padhoge to faeda hoga gae dinon ke kai raaz tum pe kholega shajar ke pas rahoge to faeda hoga amal ka radd-e-amal har amal pe lagu hai kisi ka sath bhi doge to faeda hoga