saqi wo baat aur hai marzi teri na ho

saqi wo baat aur hai marzi teri na ho
mumkin nahin ki shishe mein kuchh bhi bachi na ho

haalat kharab aisi kisi ki hui na ho
isa bhi aaen to bhi meri jaan bari na ho

sine mein shor aaj hai kaisa macha hua
dekho to aarzu koi sar pitti na ho

furqat mein jaan bachne ki ummid to nahin
han aur chaar din meri haalat buri na ho

tum hath mere sine pe rakkho to naz se
mumkin nahin ki dard-e-jigar mein kami na ho

kyunkar banega aap ke aane se us ka kaam
bachne ki jis gharib ke ummid hi na ho

kya kya bahak raha hai ye baaton mein dekhna
mujh ko guman hai kahin waiz ne pi na ho

girta na ek din bhi ki jis mein bajae ashk
aankhon se meri khun ki naddi bahi na ho

wo shokh mehrban ho to duniya ho mehrban
wo muddaa na ho to koi muddai na ho

dil pherne ka us se na hargiz karun sawal
zalim ne chashm-e-mehr agar pher li na ho

khane ke waste gham-e-ulfat na ho agar
is lutf is maze se basar zindagi na ho

pahlu mein tum raqib ke baitho khuda ki shan
dekho qayamat aaj kahin uth khadi na ho

dil tham kar utha jo abhi un ki bazm se
mujh ko guman hai kahin 'hamid' yahi na ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close