sar-e-ihata-e-gham raat bhar sanwarna tha teri judai mein kar-e-hunar bhi karna tha ufuq qarib tha himmat ki surkh-rui ka lahu mein dub ke dariya ko par utarna tha hamein thi kaun si sajde ki aarzu tum se magar dua mein kabhi hum ko yaad karna tha agar main barg-e-sahar hun to tum ko thodi der misal-e-qatra-e-shabnam yahan thaharna tha jawab ka to pata tha hamein magar phir bhi lab-e-sawal mila tha sawal karna tha wo log sahil-e-shab par bikhar gae kaise unhen to aaina-e-subh mein sanwarna tha