sar-e-niyaz wo sauda nazar nahin aata wo jaisa pahle tha waisa nazar nahin aata wo raat thi to basar ho gai bahar-surat agar ye din hai to katta nazar nahin aata ye kis ki ot mein jalte rahe ruton ke charagh kisi gali mein ujala nazar nahin aata rukun to hujla-e-manzil pukarta hai mujhe qadam uthaun to rasta nazar nahin aata hawa mein rui ke galon ki tarah udta hai mujhe wo qaul ka pakka nazar nahin aata 'najib' chaar taraf nafraton ki thathen hain chadha hua ho to dariya nazar nahin aata