sar-gashtagi mein aalam-e-hasti se yas hai taskin ko de nawed ki marne ki aas hai leta nahin mere dil-e-awara ki khabar ab tak wo jaanta hai ki mere hi pas hai kijiye bayan surur-e-tap-e-gham kahan talak har mu mere badan pe zaban-e-sipas hai hai wo ghurur-e-husn se begana-e-wafa har-chand us ke pas dil-e-haq-shanas hai pi jis qadar mile shab-e-mahtab mein sharab is balghami-mizaj ko garmi hi ras hai har ek makan ko hai makin se sharaf 'asad' majnun jo mar gaya hai to jangal udas hai kya gham hai us ko jis ka 'ali' sa imam ho itna bhi ai falak-zada kyun bad-hawas hai