sar pe suraj ho magar saya na ho aisa na tha pahle bhi tanha tha lekin is qadar tanha na tha wo to ye kahiye gham-e-dauran ne rakh li aabru warna dil ki baat thi kuchh khel bachchon ka na tha bach ke tufan se nikal aaya to hairani hai kyun go safina dubta tha hausla tuta na tha aap aae to yaqin karna pada warna yahan raat ko suraj kabhi aflak par nikla na tha shahr-e-dilli aaina-khana hai lekin ai 'ata' jal to khush-fahmiyon ka aap ko bunna na tha