sarab dekhta hun main ki aab dekhta hun main samajh mein jo na aa sake wo khwab dekhta hun main lahun mein tairti hai koi shai teri umid si uga hua shafaq mein aaftab dekhta hun main meri nazar ke samne hai aaina rakkha hua teri nazar ka husn-e-intikhab dekhta hun main ye kis maqam par hai aaj rakhsh-e-fikr-o-agahi ki jibrail ko bhi ham-rikab dekhta hun main ye koi nazr to nahin nigah dil nawaz ki khila hua jo dil mein ek gulab dekhta hun main kisi ka daman-e-talab kushada is qadar nahin teri ata ko be-had-o-hisab dekhta hun main samajh sakega kaun ai khuda teri kitab ko badal gaya hai sab ka sab nisab dekhta hun main abhi to sun raha hun main gadhi hui kahaniyan khulega kab haqiqaton ka bab dekhta hun main dil-o-nazar ki raushni hai jis ke harf harf mein rakhi hui wo taq par kitab dekhta hun main jo khelne mein tez tha nawab ho gaya hai wo padhe likhe ko khasta-o-kharab dekhta hun main wo hoshiyar aadmi ki jagta hai raat din kabhi kabhi use bhi mast-e-khwab dekhta hun main jo 'mahir'-e-alam-zada ke lab pe aa gai hansi tu kha raha hai koi pech-o-tab dekhta hun main