sarab-e-mani-o-mafhum mein bhatakte hain kuchh aise lafz jo shayad azal se pyase hain samaaton ko abhi yun hi muntazir rakhna pas-e-ghubar-e-khamoshi hazar naghme hain andhere kitne hi saffak hon ki zalim hon magar charagh ki nannhi si lau se darte hain ye kis khayal ki lau se lipat rahi hai hawa ye kis ki yaad ke sae se thartharaate hain yahi nahin ki kisi yaad ne malul kiya kabhi kabhi to yunhi be-sabab bhi roe hain bikhar ke bhi to hamein aaina hi rahna hai harif-e-sang kahin tutne se darte hain safar the panw mein 'aslam' to manzilen sar mein magar ab apni hi parchhaiyon se lipte hain