sard hain dil aatish-e-ru-e-nigaran chahiye

sard hain dil aatish-e-ru-e-nigaran chahiye
shoala-rang-e-bahaar-e-gul-ezaran chahiye

manzil-e-ishq-o-junun ke fasle hain sar-ba-kaf
in kathin rahon mein lutf-e-dast-e-yaran chahiye

kat rahi hai aur kat chukti nahin fasl-e-khizan
tez-tar ek aur tegh-e-nau-bahaaran chahiye

aaj mai-khane mein sehr-e-chashm-e-saqi ke liye
iltifat-e-chashm mast-e-mai-gusaran chahiye

is dil-e-wahshi ki aazadi ka kya kije ilaj
ek kamand-e-gesu-e-yazdan-shikaran chahiye

naghma ban jata hai nala un ki bazm-e-naz mein
un ko khush rakhne ko shor-e-sogwaran chahiye

aasmanon se baraste hain zamin par regzar
aaj phir 'sardar' raqs-e-barq-o-baran chahiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close