sari ruswai zamane ki gawara kar ke zindagi jite hain kuchh log khasara kar ke apne is kaam pe wo raaton ko rota hoga bech deta hai jo zarre ko sitara kar ke gham ke mare hue hum log magar collage mein dil bahal jata hai pariyon ka nazara kar ke phir wahi josh wahi jazba ata hota hai tum ne dekha hi nahin pyar dobara kar ke apne kirdar se duniya ko hila kar rakh de warna kya faeda is tarah guzara kar ke hum se aabaad hai ye sher-o-sukhan ki mahfil hum to mar jaenge lafzon se kinara kar ke