sarkhushi mere liye asbab-e-gham mere liye maujzan hai jaise dariya-e-karam mere liye har sitam mere liye hai har karam mere liye husn ke jalwe hain sare besh-o-kam mere liye kya haqiqat hai gham-e-hasti ki mere samne aae din hi gardan-e-mina hai kham mere liye ishq ki be-tabiyan hain husn ki ranaiyan ho gae hain zist ke saman baham mere liye khud pasheman hun main apne nala-e-shab-gir par uf wo chashm-e-kaif-agin aur nam mere liye dil ki azmat kya kahun dil ki haqiqat kya kahun jaise ham-aghosh hon dair-o-haram mere liye ishq ki mojiz-numai 'kaif' ab kya puchhiye bar-e-hasti ho gaya hai khud hi kam mere liye