sau hath uthe karb ki khushbu ko churane kya zakhm lagae hain mere tan pe hawa ne raste mein koi ped jo mil jae to baithun wo bar uthaya hai ki dikhne lage shane aankhon mein basi thi tere chehre ki tamazat chalne na diya rah mein zanjir-e-sada ne chehre the ki marqad ki tarah nauha-ba-lab the kya kya na rulaya mujhe manus faza ne naghmon ke taaqub mein na jao ki abhi tak insan ko mayassar hi nahin hont hilane kyun itne pareshan ho unwan ki talab mein kirdar mukammal ho to bante hain fasane aankhon ke jharokon se kise dhund rahe ho har naqsh mita dala hai sahra ki hawa ne duniya mein yahi soch ke zinda hun main 'afzal' ehsas to bakhsha hai mujhe mere khuda ne