sawal ghar nahin buniyaad par uThaya hai

sawal ghar nahin buniyaad par uthaya hai
hamare panw ki mitti ne sar uthaya hai

hamesha sar pe rahi ek chatan rishton ki
ye bojh wo hai jise umr-bhar uthaya hai

meri ghulail ke patthar ka kar-nama tha
magar ye kaun hai jis ne samar uthaya hai

yahi zamin mein dabaega ek din hum ko
ye aasman jise dosh par uthaya hai

bulandiyon ko pata chal gaya ki phir main ne
hawa ka tuta hua ek par uthaya hai

maha-bali se baghawat bahut zaruri hai
qadam ye hum ne samajh soch kar uthaya hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close