sawal kya karun tujhse gunahgar hun main

sawal kya karun tujh se gunahgar hun main
nigah chaar ho kyun-kar ki sharmsar hun main

rawana rakh ki jahan mein zalil-o-khwar hun main
jo hun so hun pa tere dar ka khaksar hun main

pada hua hun buton ki gali mein dil thame
saba sambhal ke zara chal nahif-o-zar hun main

kasi se matlab-e-dil mera hal nahin hota
sawal-e-masala-e-jabr-o-ikhtiyar hun main

jafa-o-zulm us ke gila karun kyun-kar
sitam-shiar hai wo aur wafa-shiar hun main

tumhin batao kare sabr kab talak koi
na har kasi se hanso tum na ashk-bar hun main

isi ko kahte hain ya-rab nasib ki yari
ki yar wo bhi na ho aur be-dayar hun main

wafa ka lutf mile gar hazar jaanen hon
nisar tujh pe meri jaan hazar bar hun main

zaban ho band zaban se agar sawal karun
qalam hon hath agar muddaa-nigar hun main

ilahi jazb-e-mohabbat mein de asar itna
kaleja tham le wo bhi jo be-qarar hun main

hazar apni kahun us ki ek bhi na sunun
khuda wo din kare us se kahin do-chaar hun main

main mast-e-baada-e-hubb-e-ali hun ai 'anjum'
kabhi bahak na sake jo wo baada-khwar hun main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close