sawalon mein khud bhi hai dubi udasi kahin le na dube mujhe bhi udasi shab-o-roz chalti hai pahlu se lag kar gale pad gai ek ziddi udasi fazaon ki rangat nikharne lagi hai hui sham phir dil mein lauti udasi zara chand kya aaya meri taraf ko sitaron ne jal-bhun ke odhi udasi shabistan mein gham ki na shamen jalao kahin jag jae na soi udasi zara der logon mein khul kar hansi phir sar-e-bazm aankhon se tapki udasi use yaad thi kal ki tarikh shayad sisakti rahi le ke hichki udasi jami thi mere sard sine mein kab se tapish pa ke ashkon ki pighli udasi katarti hai dil ke shajar ki ye khushiyan teri yaad hai ya gilahri udasi kabhi hum the jin ki duaon mein shamil unhin tak na pahunchi hamari udasi teri yaad ke ab nishan tak nahin hum magar dil mein rahti hai ab bhi udasi nigahon mein hadd-e-nazar tak hai raqsan udasi udasi udasi udasi