saz-e-hasti pe agar gao to kuchh baat bane sher ban jaen jo ye ghaw to kuchh baat bane ye futuhat-e-khala kya hain ba-juz tar-e-harir zat ke pardon ko sarkao to kuchh baat bane ahl-e-binash ho bane iwory-tower mein to kya kabhi diwanon se takrao to kuchh baat bane zulmat-e-shab mein ye tanhai gala ghont na de shisha-e-karb hi chamkao to kuchh baat bane ilm-o-danish ki mahakti hui purwaiyo kash mere sine mein utar aao to kuchh baat bane zulm ka sath na do maslahat-andeshi mein aao haq-goyon mein aa jao to kuchh baat bane jism mein ruh kirae ke makan mein jaise ruh ko apna bana pao to kuchh baat bane in razilon ki zaban-dani ayazan-billah sayyad-'insha' ko bula lao to kuchh baat bane