saza se bach ke kai bar shatiron ki tarah main apne samne aaya hun mujrmon ki tarah wo zakhm jin ka badan par nishan nahin padta wahi to khulte hain sapnon mein rauzanon ki tarah har ek mod pe tajdid-e-ahd lazim tha wo shakhs tha koi pur-pech raston ki tarah yahi khayal mujhe aa ke chir-phad gaya mile hain dost bhi yusuf ke bhaiyon ki tarah zamin panw tale hai na aasman sar par pade hain ghar mein kai log be-gharon ki tarah gaya to kuchh na raha mere pas jine ko ghanim tha wo jo aaya tha doston ki tarah ye aur baat ki zahir mein kuchh nahin lagte buland-o-baala hain kuchh log parbaton ki tarah wo raste jo tere sath chal ke tai hote lipat gae mere panw mein daeron ki tarah palak jhapakne mein ek umr kat gai 'najmi' guzar gae hain kai sal saaton ki tarah