shab ko har rang mein sailab tumhaara dekhen aankh khul jae to dariya na kinara dekhen dasht-e-aghosh mein ram-khurda chikara dekhen ye hasin khwab bhi ek roz qazara dekhen jaane kya surat-e-haalat raqam thi us mein jo waraq chaak hua us ko dobara dekhen nind aae bhi to tasbih-e-badan karte hue aur phir sath uthen subh ka tara dekhen dekhte dekhte gum ho gae jal-thal se wo log aish ko chaak karen dard ko pyara dekhen